Intro
Kya aap jante hain Ganpati Bappa ko Tulsi ke alawa har phool chadta hai, lekin unhe sabse zyada Durva (Doob Ghaas) pasand hai? Bina Durva ke Ganesh pooja adhuri mani jati hai. Aaiye jante hain iske piche ki pauranik katha.
Ganpati ko durva kyu pasand he
Pauraanik katha ke anusar ek Analasur naam ka rakshas tha jo rishiyon ko kha jata tha. Sab devta pareshan hokar Ganesh ji ke paas gaye. Ganesh ji ne Analasur ko nigal liya, jisse unke pet me bahut jalan hone lagi. Tab Rishi Kashyap ne 21 Durva ki ganth bana kar Ganesh ji ko khilayi, jisse unki jalan turant shant ho gayi. Tab se Ganesh ji ko Durva atyant priya ho gayi. Durva me sheetalta ka gun hota hai jo garmi aur gussa shant karta hai.
Durva ka upyog kyu kiya jata he
1 Budhi badhti he
Durva Ganesh ji ke mastak ko shant rakhti hai, isse buddhi aur ekagrata badhti hai
2 paap nash hota he
21 Durva chadhane se 100 paap khatam hote hain
3 Amrit samaan
Durva ko kabhi sukhti nahi, isliye ise amrit ke saman pavitra mana jata hai
Durva kese chadhani chahiye
Hamesha 21 ya 21 ki jodi me (21, 42, 63) Durva chadhayein, beech se tod kar nahi • Durva ki 3 patti honi chahiye, 3 patti Brahma, Vishnu, Mahesh ka prateek hai • Durva ko dho kar, gili karke Ganesh ji ke sir ya charno par chadhayein • Ganesh ji ko Durva jod (ganth) bana kar chadhana sabse shubh hai
Durva kese nhi chdhani chahiye
Sukhi, kuti-piti ya zameen par giri hui Durva kabhi na chadhayein 2. Durva ko bina dhoye aur pair se touch hui hui na chadhayein 3. Tulsi ke saath Durva kabhi na chadhayein – Ganesh ji ko Tulsi varjit hai 4. Durva ko tod kar fekna nahi chahiye, use visarjan me Ganesh ji ke saath visarjit karein

🔥 Best Deal On Amazon Today 🔥
Is product ko sabse kam price me abhi dekhein
🛒 Amazon Par Best Price Dekhein* Affiliate Link – Aapko koi extra charge nahi lagega