Ganesh Visarjan Kyu Kiya Jata Hai? Itne Din Me Kyu Hota Hai,

Intro

Ganesh Chaturthi par hum Bappa ko apne ghar laate hain, lekin phir 1.5 din, 3 din, 5 din ya 10 din me visarjan kyu kar dete hain? Kya Ganpati ji khud jana chahte hain? Aaiye jante hain iske piche ka sachcha karan.

Ganesh visargan itne din me kyu hota he

Visarjan ka matlab vida karna nahi, balki prakriti me wapas bhejna hai. Alag-alag din ka alag matlab hai:

1.5 din me visargan

Jo log zyada din tak niyam ka palan nahi kar sakte, ve dedh din me visarjan karte hain

3,5,7 din me visargan

Your Attractive Heading

Ghar me kisi kaam ya sutak ke karan jaldi visarjan karna padta hai

Anannt chaturdashi 10 din me visargan

Ye sabse bada visarjan hai. Maan hai ki Ganesh ji 10 din tak dharti par reh kar apne bhakton ke vighna harte hain aur Anant Chaturdashi ko wapas Kailash chale jate hain

Ganesh Ji Ko Ghar Me Kaise Rakhna Chahiye? – Unki Iccha Kya Hoti Hai?

Safai pasand he

Unhe jahan rakha hai wahan roz safai aur gobar ka poncha lagana chahiye, shor sharaba nahi

Bhaav k bhookhe he

Unhe roz subah-shaam 2 time aarti, durva, modak aur sacha bhav chahiye, mehenge decoration se zyada

Niyam se rakhein

Visarjan tak ghar me non-veg, sharaab, jhooth aur ladai bilkul na karein – ye unhe bilkul pasand nahi

Mitti k ganesh ji

Unki iccha hai ki unki murti mitti ki ho jo paani me aasani se ghal jaye, POP wali murti se paryavaran ko nuksan hota hai jo unhe dukhi karta hai

Visargan kyu jruri he

Ganesh ji buddhi ke devta hain. Mitti ka sharir nashwar hai – ye sikhane ke liye ki jo aaya hai use jana hi hai. Visarjan humein ye sikhata hai ki ahankar ko paani me ghol do. Isliye visarjan karte samay “Ganpati Bappa Morya, Agle Baras Tu Jaldi Aa” kehte hain – iska matlab hai agle saal phir aana.

🔥 Amazon Best Offer Today 🔥

Ye product abhi best price me available hai

🛒 Amazon Par Best Price Dekhein

* Affiliate Link – Aapko koi extra charge nahi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *