Vaman Dwadashi 2026 Kab Hai? Vaman Avatar Ka Mahatva, Pooja Vidhi Aur Vrat Labh

Intro

Vaman Dwadashi ko Vaman Jayanti bhi kehte hain. Is din Bhagwan Vishnu ne apna 5va avatar Vaman avatar liya tha. Bhadrapad maas ke Shukla Paksha ki Dwadashi ko ye tyohar manaya jata hai.

2026 me vaaman dwadashi kab he?

Is saal 23 September 2026, Budhwar ko Vaman Dwadashi hai. Dwadashi Tithi 22 September raat 9:45 PM se shuru hokar 23 September raat 10:52 PM tak rahegi. Abhijit Muhurat (Vaman janm ka samay) subah 11:51 AM se 12:40 PM tak hai.

Vaaman dwadashi ka mhatva kya he?

Raja Bali ke ghamand ko todne ke liye Vishnu ji ne Vaman bane. Raja Bali se 3 pag dharti maang kar unhone Trilok ko devtaon ko wapas dilaya. Isliye is din daan ka mahatva sabse zyada hai. Ye din ahankar ko chhod kar namrata sikhata hai.

Pooja ki vidhi

Subah nahakar Vishnu ji ki Vaman roop ki murti ka panchamrit se abhishek karein

2. Peela chandan, peele phool, tulsi dal aur kheer ka bhog lagayein

3. “Om Namo Bhagavate Vamanaya” mantra ka 108 baar jaap karein

4. Garib brahman ko chhatra, khadau aur ann ka daan karein – isse sabse zyada punya milta hai

Vrat kyu krna chahiye

1 Ahankar nash

Jeevan me ahankar aur ghamand khatam hota hai

2 Dhan vridhi

Vaman dev ko prasann karne se dhan aur sampatti badhti hai, Onam

3 Moksha prapti

Is vrat se sabhi paap nasht hote hain aur Vishnu lok ki prapti hoti hai

Vrat na kare to kya hota he

Vrat na karna paap nahi hai, lekin ye daan ka sabse bada din hai. Is din daan na karne aur ahankar me rehne se Lakshmi rooth jati hain. Kam se kam is din kisi garib ko bhojan ya chhata daan jarur karein.

🔥 Amazon Best Offer Today 🔥

Is product ko abhi sabse kam price me dekhein

🛒 Amazon Par Best Price Dekhein

* Affiliate Link – Aapko koi extra charge nahi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *