Shravan me Somvar ka mhatva

Aaj Shravan ka pavitra Somvar hai! Janiye Shravan Somvar ki puja vidhi, Shivling par jal, doodh abhishek ka mahatva, vrat katha, belpatra chadhane ke labh aur manokamna purti ke upay. Har Har Mahadev!

Sawan Somvar Kya Hai?

Sawan ka mahina Bhagwan Shiv ka sabse priya mahina hai. Is mahine ke har Somvar ko Sawan Somvar kaha jata hai. Kunwari ladkiyaan achche pati ke liye aur suhagin mahilayen apne pati ki lambi umra ke liye ye vrat rakhti hain. 2026 me Sawan ke 4 Somvar hain.

Sawan Somvar Vrat ka Mahatva

Shiv Puran ke anusar Sawan me Shiv Ji ki pooja karne se saare manokamna puri hoti hain. Is mahine me Shivling par jal chadhane se 100 yagya karne jitna fal milta hai. Jo vyakti Sawan Somvar ka vrat karta hai, uske jeevan ke saare paap khatam ho jate hain.

Pooja Samagri

1. Shivling ya Shiv ji ki murti

2. Gangajal, Kacha Doodh, Dahi, Ghee, Shahad

3. Belpatra (3 patte wala), Dhatura, Bhaang, Safed phool

4. Chandan, Roli, Akshat

5. Ghee ka diya aur Agarbatti

6. Fal aur Meethe ka bhog

Sawan Somvar Pooja Vidhi

1. Subah Snaan aur Sankalp

Brahma muhurat me uth kar snan kare aur saaf kapde pehne. Haath me jal, akshat lekar bole – “Mai Sawan Somvar ka vrat apne parivar ki sukhi ke liye rakhti hu.”

2. Shivling ka Abhishek

Mandir ja kar ya ghar par Shivling ko pehle Gangajal se, fir kache doodh se, fir shahad se abhishek kare. Har abhishek ke baad saaf jal chadhaye.

3. Belpatra Chadana:

Shivling par 11 ya 21 Belpatra chadhaye. Belpatra chadhate samay uski dandi Shivling ki taraf honi chahiye aur mantra bole – “Om Namah Shivaya”

4. Shringar aur Bhog:

Shiv Ji ko chandan ka tilak lagaye, safed phool, dhatura chadhaye aur ghee ka diya jalaye. Bhog me kheer ya fal chadhaye.

5. Vrat Katha aur Aarti:

Pooja ke baad Sawan Somvar ki katha sune aur Shiv Chalisa ka paath kare. Ant me Shiv Aarti kare.

6. Sham ki Pooja

Shaam ko fir se diya jalaye aur fal ka bhojan kare.

Sawan Somvar Ki Prasiddh Vrat Katha

Ek samay Amaravati nagri me ek dhani vyapari rehta tha. Uske paas sab kuch tha par putra nahi tha. Usne har Somvar Shiv ji ka vrat karna shuru kiya.

Ek din Shiv ji ne uski bhakti se prassann hokar usse kaha – “Tujhe putra prapti hogi par wo 12 varsh ka hote hi mar jayega.”

Vyapari ko putra hua, uska naam Amar rakha. Jab Amar 11 varsh ka hua to vyapari ne use Kashi padhne bhej diya aur kaha ki jate samay har jagah Yagya karte jana.

Amar Kashi ja raha tha tabhi ek raja ki beti ki shaadi thi. Us ladki ka dulha ek aankh ka kana tha. Ladki ke pita ne Amar ko kaha ki shaadi tak tum dulha ban jao. Amar maan gaya aur shaadi ho gayi.

Jab vidai hui to Amar ne ladki ki chunari par likh diya – “Tumhara vivah to mere saath hua hai par tum abhi kana dulha ke saath ja rahi ho.”

Jab ladki ne ye padha to wo wapas aa gayi.

Agle din jab Amar 12 varsh ka hua to use ek rog aa gaya aur wo mar gaya. Tab us ladki ne wahi par Shivling bana kar Shiv ji ki kathor pooja ki aur Sawan Somvar vrat ka sankalp liya.

Shiv ji prassann hue aur Amar ko jeevit kar diya. Is tarah Sawan Somvar vrat se uska pati jeevit ho gaya. Tab se har koi Sawan Somvar ka vrat karne laga.

Sawan Somvar Vrat Ke Niyam1

1. Is din baal aur nakhoon na kaate. 2. Is din namak ka sevan na kare, sirf sendha namak khaye.

3. Kaale kapde pehan kar Shiv pooja na kare.

4. Din me soye nahi.

Vrat Karne Ke Fal

1. Kunwari ladkiyon ko manchaha var milta hai.

2. Vivahit mahilaon ke pati ki umra lambi hoti hai.

3. Naukri aur vyapar me safalta milti hai.

4. Ghar me sukh-shanti bani rehti hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *