Intro
Shanivar ko Nyay ke Devta Shani Dev aur Sankat Mochan Hanuman Ji ka vaar mana jata hai. Is din ki gayi pooja se Sade Sati, Dhaiya aur jeevan ke sankat dur hote hain.
Shnivaar ka mhatva kyu he
Shanivar Shani Grah ka din hai. Shani Dev ko Karmfal Data kaha jata hai – vo hamare karmo ka hisab karke fal dete hain. Is din Hanuman ji ki pooja karne se Shani Dev ke bure prabhav bhi shant ho jate hain. Isliye is din ka vishesh mahatva hai.
Shanivaar kyu krna chahiye?
Subah jaldi uth kar peepal ke ped me jal chadhayein aur sarson ke tel ka diya jalayein
• Shani Mandir me tel, kaale til, kaali udad aur lohe ka daan karein
• Hanuman Chalisa ka paath karein – isse Shani dosh nahi lagta
• Garibon ko kaale kapde, jute aur khana daan karein
Vrat krne se kya hota he?
Shani Dosh Shant: Sade Sati aur Dhaiya ke bure asar kam hote hain
2. Karj Aur Badha Dur: Naukri, vyapar me aa rahi rukawat khatam hoti hai
3. Swasthya Labh: Shani ki kripa se lambi umar aur swasth jeevan milta hai
4. Hanuman Kripa: Sankat dur hote hain aur manobal badhta hai
Vrat na kre to kya hota he?
Shanivar ka vrat rakhna anivarya nahi hai, lekin is din maans, sharab, jhooth, kisi ka apman aur lohe ka samaan kharidne se bachna chahiye. In kaamo ko karne se Shani Dev naraz hote hain aur kaam me deri, thakan aur pareshaniyan aati hain. Agar vrat nahi rakh sakte to kam se kam “Om Sham Shanicharaya Namah” mantra ka 108 baar jaap jarur karein.

✨ Best Offer – Limited Time ✨
Ye product Amazon par sabse kam price me available hai
🛒 Amazon Par Dekhein* Affiliate Link – Aapko koi extra charge nahi lagega