Aaj Shravan Shanivaar Hanuman Ji Ko Kaise Sajaye? Janiye Hanuman Dada ka sindoor shringar, genda phool mala, chameli tel, bhog, aarti vidhi, Thakorji ke saath Hanuman pooja mahatva. Jai Hanuman Dada!

Shanivar Ko Hanuman Ji Ki Pooja Kyon Karte Hain?
Shanivar ka din Nyay ke Devta Shani Dev aur Sankat Mochan Hanuman Ji dono ko samarpit hai. Kaha jata hai ki Shani Dev ne Hanuman Ji ko vachan diya tha ki jo bhi Shanivar ke din Hanuman Ji ki sachhe man se pooja karega, use Shani ki Sade Sati aur Dhaiya kabhi pareshan nahi karegi.
Isliye Shanivar ko Hanuman Ji ko sajana aur unki pooja karne se saare kasht door ho jate hain.
Hanuman Ji Ko Sajane Ke Liye Samagri
Hanuman Ji ko sajane ke liye in cheezo ki zarurat hogi:
1. Sindoor aur Chameli ka Tel
Hanuman Ji ko sindoor bahut priya hai
2. Lal ya Kesariya Vastra / Langot
3. Mogra ya Genda ke phool ki mala
4. Janeu
5. Ghee ka diya, Dhoop, Agarbatti
6. Bhog ke liye
Boondi ke Laddoo, Gud-Chana aur Tulsi patta
Shanivar Ko Hanuman Ji Ko Sajane Ki Puri Vidhi
Step 1 – Mandir ki Safai:
Subah snan karke sabse pehle Hanuman Ji ke mandir ya murti ko saaf jal se dhole. Purane phool aur sindoor hata de.
Step 2 – Sindoor ka Shringar:
Ek katori me thoda sindoor le aur usme 4-5 boond chameli ka tel milaye. Ab is sindoor ko apne dahine haath ki anamika ungli se Hanuman Ji ko lagaye. Pehle pair, fir haath, fir maathe par tilak kare. Maanayta hai ki chameli ke tel wala sindoor lagane se Hanuman Ji jaldi prassann hote hain.
Step 3 – Vastra aur Mala
Sindoor ke baad Hanuman Ji ko naya lal langot ya vastra pehnaye. Uske baad unhe janeu pehnaye aur genda ya mogra ki mala pehnaye.
Step 4 – Diya aur Bhog
Ab ghee ka diya jalaye aur Hanuman Ji ko Boondi ke laddoo ka bhog lagaye. Bhog me Tulsi ka patta zarur dale, bina Tulsi ke Hanuman Ji bhog swikar nahi karte.
Step 5 – Mantra Jaap
Pooja karte samay is mantra ka 108 baar jaap kare – “Om Ham Hanumate Namah”
Shanivar Hanuman Pooja Katha
Ek baar Shani Dev ko apni shakti par ghamand ho gaya. Wo Hanuman Ji ke paas gaye aur bole ki mai aap par apni vakra drishti dalne aaya hu.
Hanuman Ji us samay Ram bhajan me leen the. Unhone Shani Dev ko samjhaya par Shani Dev nahi maane.
Tab Hanuman Ji ne Shani Dev ko apni poonch me lapet liya aur pahadon par patakna shuru kar diya. Shani Dev ko bahut dard hua aur unhone maafi mangi.
Tab Hanuman Ji ne unhe chhoda aur Shani Dev ne vachan diya ki Shanivar ke din jo bhi aapki pooja karega, mai use kabhi kasht nahi dunga. Tab se Shanivar ko Hanuman Ji ki pooja ka vishesh mahatva hai.
Shanivar Pooja Karne Ke Fal1
1. Shani Dosh se Sade Sati aur Dhaiya ka prabhav khatam hota hai.Your Attractive Heading
Bhoot-Pret Badha Door
Hanuman Ji ke aashirwad se buri shaktiyaan paas nahi aati.
3. Naukri aur Karz se Mukti
Bal aur Buddhi:
Shanivar Ko Kya Na Kare1
1. Is din maans, sharab ka sevan bilkul na kare
2. Kisi ko bura bhala na kahe aur jhooth na bole.
3. Lohe ka samaan ya tel is din kharidna shubh nahi mana jata, par Hanuman Ji ke liye chameli ka tel zarur la sakte hain.