Pooja Samagri List
1. Balu (ret) se bana Shivling, Maa Parvati aur Ganesh ji ki murti
2. Belpatra – 108, Dhatura, Aak ke phool, Ganga jal
3. Shringaar ka saman – Mehndi, Chooda, Bindi, Sindoor, Kangan, Naya lal saree
4. 5 tarah ke fal, 5 tarah ki mithai, Nariyal, Kalash
5. Aata, Chawal, Ghee ka diya, Agarbatti, Kapur
Pooja Vidhi
Subah snan karke nirjala sankalp lo. Balu se Shiv-Parivar banao. Pehle Ganesh ji, fir Shiv ji ko belpatra, bhang, chandan chadhayo. Maa Parvati ko 16 shringaar chadhayo. Raat bhar bhajan, agle din subah vrat kholo. Is din soya nahi jata.
Vrat Karne Se Fal:
Suhaaginon ko akhand saubhagya milta hai, pati ki lambi umar hoti hai. Kunwari ladkiyon ko Shiv jaisa var milta hai. Ghar me sukh-shanti aati hai.
Vrat Na Karne Se Kya Hota Hai?
Is din chand dekhna mana hai. Vrat na karne ya visarjan na karne se kaam me rukawat aur jhoothe kalank ka dosh lagta ha