Intro
Ganesh Chaturthi par Bappa ko ghar lana sabse shubh mana jata hai. Lekin sabke man me ek sawal hota hai – Bappa ko ghar me kitne din rakhna chahiye? Aaiye jante hain shastra ke anusar sahi niyam.
Ganpati Ko Ghar Me Kitne Din Rakhna
Shastra ke anusar aap in dino me se kisi bhi din visarjan kar sakte hain:
1.5 din
Sabse adhik log pahle din sthapna aur dusre din visarjan karte hain. Ise sabse shubh mana jata hai.
3 din , 5 Din , 7Din
Apni shraddha aur samay ke anusar.
Anant Chaturdashi [10,11 din]
Pure 10 din tak Bappa ki seva karna sabse uttam mana jata hai.
Main point
Ganpati ji ko 1 din se kam aur 11 din se zyada ghar me nahi rakhna chahiye. Murti mitti (Eco-friendly) ki hi lena chahiye.
Ganpti ki pooja vrat krne se kya hota he
Ghar me sukh-shanti aur positive energy aati hai
• Kaam me aa rahi rukawat dur hoti hai – Bappa Vighnaharta hain
• Buddhi aur samriddhi badhti hai, bacchon ki padhai me man lagta hai
• Ganpati ji ko Modak aur Durva bahut priya hai, isse Bappa jaldi prasann hote hain
Pooja Vrat Na Karne Se Kya Hota Hai?
Pooja na karna matlab apmaan karna nahi hai. Lekin agar aapne Bappa ko sthapit kiya hai to:•
Nitya subah-sham diya-batti, bhog na lagane se ghar me negativity aati hai
• Visarjan bina pooja ke karna ashuv mana jata hai
• Isse man me adhura-pan rehta hai aur manokamna adhuri reh jati hai
Isliye agar Bappa ko la rahe hain to pure bhav se 1.5 din hi sahi, poori vidhi se pooja karein.

* Affiliate Link – Aapko Extra Charge Nahi Lagega