Aaj Durga Ashtami hai, jo Navratri ke 9 dinon me sabse shaktishali din mana jata hai. Is din Maa Durga ke aathve swaroop Maa Mahagauri ki puja ki jati hai. Shastron me kaha gaya hai ki Ashtami ke din jo bhakt sacche man se Maa ki aradhana karta hai, uske sabhi paap dhul jate hain aur usko sukhi vaivahik jeevan ka ashirwad milta hai.

Durga Ashtami Kya Hai?
Navratri ke 9 dino me Ashtami tithi ka sabse bada mahatva hai. Is din ko Durga Ashtami, Maha Ashtami aur Annapurna Ashtami bhi kehte hain. Is din Maa Durga ke Maha Gauri swaroop ki pooja hoti hai. Kaha jata hai ki is din Maa Durga ne Mahishasur ka vadh kiya tha.
Jo bhakt Ashtami ke din sachhe man se Maa Durga ki pooja karta hai, uske ghar me kabhi dukh nahi aata.
Durga Ashtami Ka Mahatva
Shastro me kaha gaya hai ki Ashtami ke din Maa Durga apne bhakton me shakti ka sanchar karti hain. Is din Kanya Pujan ka bhi vishesh mahatva hai. Is din 9 kanyao ko bhojan karane se 9 Durga ka aashirwad milta hai. Is din kiya gaya hawan aur daan kabhi khali nahi jata.
Pooja Samagri
1. Maa Durga ki chunari – Laal rang ki 2. Laal phool, Genda ki mala
3. Kumkum, Roli, Mehendi, Kajal, Chudiyan
4. Nariyal, Paan, Supari, Laung
5. Ghee ka diya, Dhoop, Agarbatti
6. Bhog ke liye – Halwa, Poori, Kaale Chane
Durga Ashtami Pooja Vidhi
1. Subah ka Snaan aur Sankalp
Ashtami ko subah jaldi uth kar snan kare aur laal vastra pehne. Haath me jal lekar sankalp le – “Mai apne parivar ki sukhi samriddhi ke liye Durga Ashtami ki pooja karti hu.”
2. Kalash aur Maa ki Sthapna
Mandir me Kalash ki sthapna kare aur Maa Durga ki murti par laal chunari chadhaye. Maa ko shringar ka saara samaan – Mehendi, Kajal, Chudiyan chadhaye.
3. Mantra Jaap aur Pooja
Maa Durga ko laal phool chadhaye aur is mantra ka 108 baar jaap kare – “Om Aim Hreem Kleem Chamundaye Vichche” Iske baad Durga Chalisa ka paath kare.
4. Kanya Pujan
Ashtami ka sabse main niyam Kanya Pujan hai. 9 chhoti kanyao (2 se 10 saal ki) ko ghar bulaye. Unke pair dho kar tilak kare, unhe chunari pehnaye aur halwa-poori-chane ka bhog karaye. Ant me unhe dakshina de kar unka aashirwad le.
5. Havan
Pooja ke ant me Ghee, Loban aur Hawan samagri se havan kare. Havan me “Om Durga Devyai Namah” bol kar aahuti de.
Durga Ashtami Ki Katha
Prachin kaal me Mahishasur naam ka ek rakshas tha. Usne Brahma Ji ki kathor tapasya karke vardan liya ki use koi devta ya manav nahi maar sakta.
Vardan milte hi usne teenon loko par atyachar shuru kar diya. Devta pareshan hokar Bhagwan Shiv aur Vishnu ke paas gaye.
Tab sabhi devtao ke tej se Maa Durga prakat hui. Sabhi devtao ne apne astra-shastra Maa Durga ko diye.
9 dino tak Mahishasur aur Maa Durga me bhayankar yudh hua. 8ve din yani Ashtami ke din Maa Durga ne Mahishasur ka vadh kar diya. Isliye is din ko Maha Ashtami kaha jata hai. Is din Maa ne apne bhakton ko var diya ki jo bhi Ashtami ko meri pooja karega, uske dushman ka naash ho jayega.
Durga Ashtami Vrat Ka Fal
1. Shatru Badha se Mukti
Ashtami ki pooja se dushman kabhi pareshan nahi karte. 2
2. Manokamna Purti
Maa Durga har manokamna puri karti hain, khaas kar ke santan sukhi.
3. Ghar me Sukh-Shanti
Ghar se nakaratmak urja khatam hoti hai aur Maa Annapurna ka vaas hota hai.
4. Kanya Pujan ka Fal
Kanya Pujan karne se Maa Lakshmi prassann hoti hain aur dhan ki varsha hoti hai.
Durga Ashtami Par Kya Na Kare
1. Is din kaale vastra na pehne
. 2. Is din maans, sharab aur lahsun-pyaaz ka sevan na kare
. 3. Kanya Pujan me kisi kanya ka apmaan na kare aur unse pair na chhuwane de, balki unka aashirwad le
. 4. Is din ghar me jhagda na kare.