Shaniwar Vrat Kisko Karna Chahiye?
• Jinke kundali me Shani ki Sade Sati ya Dhaiya chal rahi hai.
• Jinke kaam me baar-baar rukawat aati hai, naukri nahi lag rahi.
• Jinko bhoot-pret ka dar, raat me dar lagta hai.
• Jinke upar karz bahut hai, utar nahi raha.
Kyu Karna Chahiye?
Shani Dev Hanuman ji ko apna guru mante hain. Kaha jata hai Shaniwar ko Hanuman ji ki pooja karne se Shani Dev kabhi pareshan nahi karte. Hanuman ji bal, buddhi aur sankat mochan hain. Isliye Shaniwar ko vrat karne se bal, naukri aur dar se mukti milti hai.
Shaniwar Pooja Samagri:
1. Hanuman ji ki sindoor wali murti / photo
2. Sarson ka tel, Ghee ka diya – 1 bada
3. Sindoor, Chameli ka tel, Lal langot
4. Peepal ke patto ki mala – 11 patte
5. Boondi ke laddoo, Kele, Gur-Chana
6. Lal phool, Tulsi nahi chadhani
Pooja Vidhi – Kaise Kare?
1. Shaniwar subah 5 baje uth kar snan kare, laal kapde pehne.
2. Peepal ke ped ke neeche ya ghar me Hanuman ji ko sthapit kare.
3. Sarson ke tel me sindoor mila kar Hanuman ji ko lagaye, chameli ke tel ka diya jalaye.
4. 11 peepal ke patto par Ram naam likh kar mala bana kar pehnaye.
5. Boondi ya gur-chana ka bhog lagaye.
6. Hanuman Chalisa ka 7 baar paath kare, Sunderkand padhe.
7. Sham ko Peepal ke ped par sarson ke tel ka diya jalaye.
Vrat Ke Niyam:
• Is din namak nahi khana, ek samay falhaar kare.
• Kala kapda na pehne, jhooth na bole.
• Kisi ka apman na kare.
